Saturday, 10 October 2015

jo guzar gaya... woh guzar gaya

jo guzar gaya... woh guzar gaya
na koiye apna... na koiye paraya
na dil mein hain malal judai ka
na aankhon mein aakhs uski bewafai ka
jo guzar gaya... woh guzar gaya
na koiye apna... na koiye paraya...
~*~
khawabon mein na tha ki duniya itni buri hain
wafaiye... jafaiye... bas khayalon ki baatein hain
na gila hain usse
woh rasta apna badal gaya
jo guzar gaya... woh guzar gaya
na koiye apna... na koiye paraya...
~*~
zara si uski muskurahat par khil uthata tha chehara apna
woh chehare par berukhi de gaya
ujali-ujali thi zindagi apni
woh yaadon ki shaam de gaya
jo guzar gaya... woh guzar gaya
na koiye apna... na koiye paraya...

- Sun

No comments:

Post a Comment